Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojana 2020,Full Details.
Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojna Online Form 2020 : UP Government ke dwara start kiye gye Kaushal Vikas Yojna ka yadi aap Labh uthana chahte hain to aapke liye yah post kafi upyogi hoga. Kyoki is page me aap sabhi ko UP Kaushal Vikas Yojna Online Form 2020 bharne ke liye puri jankari diya ja raha hai. Sath hi is article me iske official portal ka link bhi provide karaya gya hai, Jise Dwara aap iske liye Aavedan Form bhar sakte hain.Aur Ek Baat Bata de ki Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojna me Pradesh Sarkar ke dwara waha ke sabhi yuvaon ko Training Centers ke Madhyam se Rojgar ka behatar avsar pradan karne me madad karegi. Aur is Yojna ka Main Udeshya yuvaon ko Industrial Training Pradan kar Self-Sufficient aur Skilled banana hai.
Important :- Yadi kisi Country ya State ki Economy me waha ke Yuvaon ki Bhagidari aham mana jata hai, Aur jab kisi Area me Logo ko Rojgar ka avasar parpt karna hai to vah State aur Country bahut teji se aage ki or viksit karti hai. Isi ke chalte UP Government ke madhaym se Kaushal Vikas Yojna ki shuruat kiya gya hai. Jo bhi Uttar Pradesh ke Yuva aaj ke date me ek achhe mukam hasil karna chahte hain to unhe is Yojna ke tahat Sarkari Traning Center se Traning pradan karaya jayega.
Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojana 2020
Aap sabhi ko bata den ki Central Government ne 2022 tak harek vyakti ko Rojgar aur Aavas dene ke liye sanklpit kiya hai, Aur isi sambhav ko dikhane ke liye UP Chief Minister Yogi Adityanath ne Kaushal Vikas Yojna ki shuruat ki hai.Taki Uttar Pradesh me iske aartik Rojgar ke madhyam se sabhi Yuvaon ko Rojgar mile, Aur ise uplabdh karne ke liye official site par online Application Form jaari kiya hai.
Is Kaushal Vikas Yojna ke madhyam se Sarkar ka mukhy udeshya yuvaon ko Training karna hai jis se ki unhe Rojgar ke behatar avasar prapt ho sake. To aap is page me diye gye iske official link ke madhyam se online Application Form online bhar sakte hain.
Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojana 2020 Eligibility Criteria
Uttar Pradesh Government ke madhyam se shuru kiye gye Kaushal Vikas Yojna ke Aavedan karne ke liye Candidates ko kuchh Eligibility Criteria ko bhi pura karna hoga, Jo niche bataya gya hai.
- Iske liye Candidates ko ek Bhartiye Nagrik hona bahut hi aavashyak hai.
- Aur Class 12th ya Graduation ke bich padhai chhor chuke sabhi Candidates is Yojna ke antargat Tranining parpt kar sakte hain.
- Jabki sabhi Berojgar Male Ya Fimale dono yuva is Yojna ke tahat Training prapt kar sakte hain.
- Aur Sarkari Naukri bale Candidates is Yojna ka labh nahi prapt kar sakte hain.
UP Kaushal Vikas Yojana Main Purpose
- Candidates ko Training dekar na sirf unhe rojgar pradan karna balki unhe rojgar utpann karne ke liye bhi prerit karna hai.
- Aur Kaushal Vikas Yojana ke madhyam se Sarkar ne lagbhag 1 Crore se jyada yuvaon ko kaushal pradan karne ka nirnay liya hai.
- Jabki sabhi yuvaon ko Training pura karne ke bad Certificate bhi provide karaya jayega, Sath hi Candidates ko Puraskar bhi diye jayenge.
- Is Yojna ke antargat Yuva ek se adhik kshetra me apna Training prapt kar sakte hain.
Required Document For UP Kaushal Vikas Yojna
- Aadhar Card
- Voter ID Card
- Residence Certificate
- Age Certificate
- Ration Card
- Unemployment Allowance Registration Number
- Passport Size Photo
- High School, Inter Mark Sheet.
UP Kaushal Vikas Yojana (Course List)
UP Kaushal Vikas Yojna ke tahat State Govt dwara kai keshtro me vibhin Course ke madhyam se Training ki vayastha ki gyi hai, Jo aapko niche table me batlaya gya hai.
How To Apply For UP Kaushal Vikas Yojana?
Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojna ka Aavedan karne ke liye aap sabhi ko niche Simple Step by Step method banaya gya hai, Aap use follow kar online Application Form bhar Sakte hain.
- Sab se Pahle Aap UP Kaushal Vikas Yojna ke official portal par visit karen.
- Ab iske home page par aapko Candidate Registrationpar click karna hai.
- Click karne ke baad UP Kaushal Vikas Yojna Application Form open ho jayega.
- Jisme puchhi gyi sabhi details ko enter karen.
- Aur Form bharne ke baad submit par click kar den.
- Last me aap apne form ko Print Out Ya Download kar len Taki Baad me Aashani Ho login Karne me.
- Official Website :- http://www.upsdm.gov.in/
- Direct Apply Form :- Click Here
https://www.seesarkariresult.com/iocl-jobs-2020-iocl-jobs-recruitment-for-non-technical-posts/
UP Kaushal vikas Yojna ke tahat Rajya Sarkar dwara kai keshtro me vibhin Course ke madhyam se Training ki vayastha ki gyi hai, Jo aapko niche table me batlaya gya hai.
Uttar Pradesh Kaushal Vikas Yojna kya hai?
UP Government dwara chalaye ja rahe is Yojna ke antargat sabhi Yuvaon ko unke Kaushal ke anusar Traning pradan kiya jayega.
UP Kaushal Vikas Yojna Trining Kendra ki sthiti kya hai?
Kaushal Vikas Yojna ke tahat adhiktar Training Kendro ki sthiti is Prakar se hai.
Prayagraj | Bandipur | Etawa |
Lucknow | Allahabad | Angul |
Kaushal Vikas Yojna me kitne prakar ke Course uplabdh hai?
Is Yojna ke antargat 34 Keshtro me kul 283 Karya Keshtro ka samavesh kiya gya hai.
Thank You.
0 Comments